Friday, October 8, 2021

Aaj - part 2

Socha na tha keh  kabhi aayegi aisi bhi ghadi 

Honge majboor aise ,hongi deewarein khadi


Beh raha hai har pal waqt ka ek naya bojh liye 

Kya karun  kaise karun  aisi  hi  kuch  soch liye 


Tabdeeliyaan kuch aisi liye baitha hai zamaana ye

Hamaari  majbooriyuon ko samjhe hai bahaana ye


Khilkhilaate chehre sab udaas udaas rehne lage

Gungunaate hont jo thay ab  uff uff kehne lage 


Qatra qatra aansoo behte hain ab  aankhon se 

Siskiyaan  milkar  ke  nikalti hain ab  saanson se 


Aaj

Aankhon mein aansu laana bhi mana hai 

Mayyat ko ja ghusl dilaana bhi mana hai

Aye gham gusaar tifli ab ye ghum hai mujhko 

Luti  huwi kushiyun ko paana bhi mana hai 


Khoya  huwa  waqar   dilaana bhi mana hai 

Soye  huwe zameer  jagaana bhi mana hai 

Ye jin haalaat se guzar rahi hai zindagi apni 

Un haalat ka logo  ko bataana bhi mana hai 


Mehmaan nawazi pe bulaana bhi amana hai 

Mil baith ke do chasr ka khaana bhi mana hai 

 Aisa bhi kabhi  waqt yeh na dekha tha kisi ne 

Achcha bura hai kya ye samjhana bhi mana hai 



Bigde  ko sahi raah dikaana bhi mana hai 

Un ki kartooton pe dil ko jalaana bhi mana hai

Ek do ka zikr kya Saara zamaana hi  hai bura 

Kisi ki jaanib ungli uthaana bhi  mana hai 


kuch baatein Nasr ki shakl mein

 Pareshaan kar dete hain ye Umr ke aakhri daur ke kuch lamhe 

Jin mein sochne ko achcha kum aur bura ziyada hisse mein aata hai

Is waqt kuch samajh nahin aata kyunki kuch karne ka dum kahan rehta hai

Bebasi ka urooj rehta hai aur dil ko maarna hi iska hul nazar aata hai

Dimaagh maaoof ho chukka hota hai yaadaasht khatam ho jaati hai

Nazrein jo doorandesh huwa karti thein ab inse nazdeek ka bhi dikhaayee nahin deta hai

Wo wajud jis pe kai log munahsir rehte thay aaj mohtaaj nazar aata hai

Munh se qahqahay gum ho kar aahon ki awaazein aati hai 

Zindagi buri lagti hai phir bhi zidagi ki dua ki jaati hai 

Kya hoga agar kuch aur din jeene ko milein

Yahi haalat raheinge ya is se bhi badtar ho jaayenge 

Is liye apni Jawaani mein hi itna kuch kar lo ke budhaapa sukoon se guzre 

Zindagi ke Jawaan dino mein josh hosh jazba mehanat aur khub dil laga ke kaam karo

Nafs pe qaabu rakho buri sohbaton se bacho waqt na zaaye kiya karo.