Friday, May 30, 2014

ASHAAR


Koi bhi kaam jo kiya,  na huwa dhang ka
Dosti kaam karaati hai ulte seedhe.

 --------


Ameeri hai duniya mein warse se aayee.
Bahut hain wo kum jis ne mehnat se paayee.
Wo pehle tha , samjhte thay izzat ko bartar
Ab IZZAT hai hoti,  agar daulat kamaayee

 ------

UN KE MILNE SE SUKOON MILTA HAI DIL KO LEKIN
UN KE MILNE MEIN HOTI HAI PARESHAANI KITNI

 -------

 

Kaafi uljhte hain karte hain khud se sawaal
Jaane kyun karte hain hum fikr aur khayaal
Hone waala jo hai to ho ke hi rehta hai woh
Karein kyun haal ko apne hum phir behaal

----- 


Kahan milega mujhe phir wo ladakpan mera
Kahan chupa hai jaa kar ke wo bachpan mera

---- 


Saraahaana aap ka likhwaata hai jo likha main ne
Wa gar na mujh mein kahan baat hai likhne waali.

 ------ 


Mein hoon banda khuda ka wo mera mehboob hai
Mujh ko us ne chun ke bheja duniya mein kya khoob hai

------ 


Kai gham hain yehan aur kai fikrein hain
Udaas chehre bhi kabhi nikhrey hain
Kaise  honge ek jegah badi mushkil hai
Dil ke tukde yehan har tarf jo bikhre hain
 
----

 

MIRZA GHALIB SE MAAZRAT KE SAATH


Ki  ghalti,  jama kiya raqeebon ko
Kiya gila to phir ek tamaasha hua

Bandagi to na ki, namrood ki to kyun
Mili buraayee mujhe, mera bhala na hua

Mujhe burey  ki  thi kahan ummeed
Kyun bura huwa achcha na hua.

Kahan kismet meri aazmaaoon mein
Jab tu hi mera humnawa na hua

Tere aane ki khabr hai  lekin
Ghar mera kutia raha ,mahal na hua

Zakhm ab bhar chuka par lahu hai rawaan
Thame kyun,  ke yeh thanda na hua

Dard aisa mila ke jaan se gaye
Jaan gayee par haq adaa na hua

Tum padho ge zaroor is ko , kyun ke
Log kehtey hain mein shaaer na hua

FAIZ AHMED FAIZ SE MAAZRAT KE SAATH


Yaad mein kab tu rehta nahin jo baat kahi teri baat kahi
Milna nahin muqaddar mein neendon mein kati koi raat nahin

Mushkil ka teri ilm nahin , gar jaan ho keemat , de bhi dein
Bekaar hai jeena duniya mein gar haath mein tera haath nahin

Jab de hi diya dil tujh ko to phir jaan ki kyun hum fikr karein
Ye jaan to ek din jaani hai , yeh   fikr ki  koi baat nahin

Pyaar ki rangeen duniya mein kyun hasb o nasb ko hum dekhein
Ishq to har ek mazhab mein  , Aashiq ki koi zaat nahin

Ishq ki lage gar baazi to,  jo chaho daao laga do tum
Yehan jeet hi sab ka haasil hai, hoti  hai kisi ki maat nahin.

BACHPAN - GHURBAT WALA


Galiyun mein khelna kanchon se

Patangon ka udaana chaton se

Ghumaana itranaa Bhanwaron se

Chadna utarna chalti trainon se

Bheegna aur bhaagna barsaaton se

Bina ticket safar karna bason se

Chedna shaitaani karna choton se

Phir Dad ki maar khana juton se

Bhook lage ghar bhagna zoron se

Phir khaana Maa ke haathon se

Jab kaam mile apno ya ghairon se

Daud ke kar lena pairon se

Gaali dena aur khanaa logon se

Na asar koi  kisi tohmaton se

Haatha paayee karna doston se

Beparwah thay khushi aur ghamon se

Thay bachche hum khelte thay bachchon se

 

Wednesday, May 28, 2014

DUNIYA AUR HUM


Kabhi mein yeh sochta hoon ke kya hoon main
Aur yeh jo jagah hai, ajab si duniya,  jahan hoon mein  

Sab hain ek tarah se banay , par hain kitne hum alag
Farq hai itna ek doosre mein jaise hon  zameen-o- falak 

Baantay baithe hain abd se liye apni apni zaat hum
Hatiya liye hain tukdey hum ne zameen ke dikha ke dum 

Kehney ko samjhdaar,  hain Ashraf-ul- makhlooq
Lekin har ek baat pe taane hain yeh bandooq 

Hum reh nahin sakte hain  bina lade aman se
hai shaan is mein dekhein jo dushman ko lipta kafan se 

Guzre hazaaron saal hum ab tak nahin sudhray
Paighambar aaye aur kai guzre ek ke baad digaray 

Aao ke banaaein yeh zameen mil ke hum jannat
Hon qabool sab ki aarzoo aur puri hon mannat 

Yeh keh sakein hum ke hai duniya meri behtar
Aur keh sakein yeh bhi ke hum makhlooq hain bartar……

Tuesday, May 6, 2014

ASHAAR


BAS YEHI EK KAAM MEIN NE UN KE KEHNE SE KIYA
NAFS APNI THI BE QAABOO, KO DABA KE RAKH DIYA
ZINDAGI MERE LIYE MUSHKIL SE AASAAN HO GAYEE
SOCHA MEIN NE PEHLE YEH PAIGHAM KYUN NA LE LIYA.

------------  

Nikaal waqt  apna  aur dil in mein laga le tu
Kya kya na hai maujood Hadees –o- Quran mein

------------------   

Tu pehla nahin hai shakhs jo in se huwa hai tung
Dil aur dimaagh mein to chali  hai abad se jung
 
-----------------

Sar ko jhuka ke maang tu badbakht khuda ke ghar
Banti hai har ek baat phir kaisi bhi ho bigdi
 
---------------------

Milne ki un se hum ko tamanna thi bahut
Saara khumaar jaata raha jab ru-b-ru huwe

----------------------

KABHI NA KHATM HO YEH SILSILA CHALTA RAHE AISA
KE SANGAT DOSTON KI HO AUR ZIKR BACHPAN KA CHAL NIKLE
 
------------------------

Samajh mein aaye na ke kya kahoon..
khaamoshi byaan kar rahi kaifiat meri.

-----------------------

 

Sunday, May 4, 2014

GHURBAT YAANI GHAREEBI


Ghareebi ek beemaari hai jo insaan khud apne ooper laga leta hai apni kamzori aur kotaahi se…is ko door karne ke liye bas karna yeh hota hai ke koshish kare…apni self respect ko pehchaane aur maangne se parhez kare aur khud koshish kare.
 
Poet Iqbal ka ek shaer hai jo kai baar suna hoga

Khudi ko kar buland itna ke har taqdeer se pehle
Khuda bande se khud pooche bata teri raza kya hai 

Yeh shaer mujhe abhi yaad aaya jab yeh neeche likhi nazam ki aakhri line likhne jaa raha tha…is liye is shaer ki aakhri line ka istemaal kiya…nazm mein ghareebi ki wajah aur us ko ghareeb aadmi khud kaise door kare…kehne ki koshish ki hai…
Nazam aazaad behar mein hai…yaani ek line doosri line se match( rhyming)  nahin karti
hope le achchi lage padhne waalo ko.....

 

GHURBAT

 
Bana ke rakha hai miskeen khud ko apni nazron mein
Wo kaahil hain nahin karte hain koi kaam bhi hil ke 
Wo kehte hain ke ghareeb hain hum pe reham karo
Aur yeh bhi  jaante hain  khoob wajah kya hai ghurbat ki
Dekh kar apne se behtar wo koi sabaq nahin lete
Wo karte nahin koshish aur rehte saara din laytay
Gar ki  madad un ki  to achcha bolte us ko
Aur jo naa kare uski buraayee bhi hain wo karte
Aise log zaalim hain inhein  mazloom  na samjho
Kharaabi karte hain paida yeh apne hi  samajo mein
Khadi karte hain mushkil hukumat ke kaamo mein
Hukumat karti hai phir  jhoote waade rozgaari kay
Wo sab jaanti hai  yeh kabhi poora nahin ho ga
Yeh raheinge waise hi , jaise thay yeh pehle se
Arey phenko yeh tum miskeen ki topi jo sar pe hai
Dato maidaan mein aur banaao apni hasti tum
Dekho khwaab oonche aur unhein paane ki koshish ho
Kyun mango doosron se wo jo haasil kar sako khud se
Khuda dekhey ga jab tujh ko ke mehnat kar raha hai tu
To wo poochega khud tujh se bata teri raza kya hai.
 
 

Saturday, May 3, 2014

ASHAAR


Lagein ge ilazzam kai aur sahe ga zulm bhi kai
Yehi  sazaa hai  shareefon ki is zamaane mein

----------------------

Har koi pareshaan baitha hai yehan
Kaun sunega meri daastaan-e-gham

----------------------

Kya kahein apni jahalat pe shakil
Padh ke bhi ye gada Wali na huwa
 
--------------------------

Mili jo degree liye ghoomte rahe dar dar hum
Kya pata tha ke meri Qaum ke log pichde hain
 
-------------------------

Padh kar ke aaj kal kya kareinge hum Shakil.
Taaleem se kya hoga jab tarbiat hi na mile
 
------------------------

Duniya ke daao pech se rahe hum naa aashna
Seekha sabaq sabhi se magar kaam na aaya

------------------- 

Jaane kab tak thapedon mein rahegi behti
Is qaum ki kishti mein koi Mallah nahin hai

-------------------

Peeche kahin kho gaya Zindagi ka maqsad
Hum bahut aage chale aaye is zamane mein

-------------------

Gilay miltay hain sunnay ko ab aye Shakil
Gale milne ke ab wo zamaane na rahe.
 
-------------------------

Logon  ka kaam hi hai dukhon ko dena
Na bhoolo ge inhein to tum na jee paaoge
 
------------------------

Ghamon ka saath rahega, to jeeyega kaise
Behtar hai tere liye yeh ke tu tanha hi rahe.

----------------------

Aakhri ayaam mein wo kehte hain,  mujhe maaf karo
Mujhe khushiyaan na do,  ke marne ko mera dil na kahe.
 
--------------------------

Zara si zindagi baaqi hai na karo dard ko kum.
Bach gaya to na jee paaoonga teri yaad liye

----------------------

Jism se jaan , abhi hoti kaise juda
waqt nahin aaya jaanta hai khuda.
 
---------------------------
Gham o khushian  achcha bura sab naematein pal bhar ki hain
Yeh hain aatein  yeh hain jaatein  sab  kaifiatein sabar ki hain
 
-------------------------
Sab jaante hain hum par unki khushi ke liye
Ban jaate hain anjaan to kabhi bewaqoof se
-----------------------


SAB KE KAAM AAYE AUR NAZAR NA AAYE
JAISE KE IS JAHAN MEIN YEH HAWAA AAYE
AISA HI BANNAY KI KOSHISH RAHEY GI MERI
TUMHAARI JAANIB SE MERE LIYE DUAA AAYE 

-----------

KAHAN HO TUM CHUPAY MEIN KAISE TUM SE AA KE MILOON
HAWA MEIN MIL KE CHALOON YA GHATA KE SANG BARSOON
 

----------

YEH RAB KI MUJH PE KARAM FARMAAYEE HAI.
KE ZARRE KI IS DUNIYA MEIN SHANASAAYEE HAI.

----


 

Friday, May 2, 2014

DOST


Waise to har qadam pe  kai log hain milte
Kuch dost hain ban jaate  saath wo  chalte 

In  mein bhi tum ko  achcha bura hai chun na
Kahe koi  kuch bhi tum se, tum dil ki hi sun na 

Dost hote hain wahi achche jo waqt pe kaam aaye
Dete hain saath har waqt ban jaate hain wo saaye 

Karo kaam jaisa bhi tum aainaa tumhara bante
Hota ghalat hai gar to hoshiyar tum ko karte 

Hon bhale hi door kitne khone na dena un ko
Kabhi dost zindgai mein aise milein jo  tum ko