Kabhi mein yeh sochta hoon ke kya hoon main
Aur yeh jo jagah hai, ajab si duniya, jahan hoon mein
Sab hain ek tarah se banay , par hain kitne hum alag
Farq hai itna ek doosre mein jaise hon zameen-o- falak
Baantay baithe hain abd se liye apni apni zaat hum
Hatiya liye hain tukdey hum ne zameen ke dikha ke dum
Kehney ko samjhdaar, hain Ashraf-ul- makhlooq
Lekin har ek baat pe taane hain yeh bandooq
Hum reh nahin sakte hain bina lade aman se
hai shaan is mein dekhein jo dushman ko lipta kafan se
Guzre hazaaron saal hum ab tak nahin sudhray
Paighambar aaye aur kai guzre ek ke baad digaray
Aao ke banaaein yeh zameen mil ke hum jannat
Hon qabool sab ki aarzoo aur puri hon
mannat
Yeh keh sakein hum ke hai duniya meri behtar
Aur keh sakein yeh bhi ke hum makhlooq hain bartar……
No comments:
Post a Comment