Ki ghalti, jama kiya raqeebon ko
Kiya gila to phir ek tamaasha hua
Bandagi to na ki, namrood ki to kyun
Mili buraayee mujhe, mera bhala na hua
Mujhe burey ki thi kahan ummeed
Kyun bura huwa achcha na hua.
Kahan kismet meri aazmaaoon mein
Jab tu hi mera humnawa na hua
Tere aane ki khabr hai lekin
Ghar mera kutia raha ,mahal na hua
Zakhm ab bhar chuka par lahu hai rawaan
Thame kyun, ke yeh thanda na hua
Dard aisa mila ke jaan se gaye
Jaan gayee par haq adaa na hua
Tum padho ge zaroor is ko , kyun ke
Log kehtey hain mein shaaer na hua
No comments:
Post a Comment