Wednesday, September 18, 2013

EK NAZAM

Qadam badhtey nahin ab thakan ke maare
Dhundali ho gayeein hain zindgai ki raahein
Saamney sab hokar bhi kuch nahin aata nazar
Dhundlaa gayee hain dekho yeh meri aankhein
Dhund fizaaon mein chaa gayee kyon aaj ke din
Khuli hawa mein le rahey thay hum saansein
Dil behlaatay thay jo dost woh ab gum hain
Dhoond laaye koi tanhaayee mein hum ghabraaein
Uff nahin aayega wo waqt laut kar, jo gaya
Dhuwan jab saamney hai aaye kaise lautaayein

Tuesday, September 17, 2013

IBN -E- ADAM

Ibn-e-adam tu ban ke jab aa hi gaya
Kyon 'sukoon' ab teri talash mein hai

Monday, September 16, 2013

AAJ KA BURA INSAAN

Ho ga aisa bhi zamaana kabhi socha na tha
Jahan insaan bhi shaitan nikal aayega
Har amal mein balaa ki khudgharzi bhari
Kaise bewaqoof banaaoon aqal daudaayega

Badle ga wo chehra itne na pehchaano
Har ek pal mein wo nayee shakal le aayega
Loot le ga tujhe, aankh na jhapke teri
Agar soya tu , to phir yeh phal payega

Qatl- o-gharat kahin ismat dari ka bayaan
Hoga itna,dil sharifon ka  dahal jaayega
Yeh duniya banayega wo jannat ki tarah
Dhoka nazron ka yeh sab pe na chal paayega

Ghalti se bhi karna na tu iska yaqeen
Rokna khud ko dil jab machal jaayega
Hai duniya ki buraayee mein be los kashish
Sambhlo , koi ilzam zamaana yeh kal laayega

Waise to kehney ko hai bura sab kuch
Lekin kehney se mere ye na badal paayega
Khoon khaulay jo mera kis ko faraq padta hai
Le ke thandi saansein, dil ye sambhal jaayega

kuch aur

Aaj bhi kuch log , logon ki qadar karte hain
Kaun kehta hai ke duniya sa adab uth baitha
Hai buraayee aaj hawa mein shaamil
Kaise bachaoge tum daman apna
Leta hai hum se pal pal imtihaan wo kaise kaise
Allah ki jo maslehat hai hum jaane bhala kaise
Sab ke apney masaael hain jo haayel hain
Koi shikwa na rahe yeh agar hum samjhein
koi bhi pal be-fikri ka ab milta naihn
Fikrein badhney lagein umr ke sath sath
Liye koi wajah maut bani phirti hai yeh aati hai to kaise bahaane le kar