Aye zindagi mujhe tu kahan ko le jaayegi
Kabhi ye na bataaya kaun manzil aayegi
Bhatkaaya mujhe,khub ghumaaya mujhko
Bata aaraam o sukun bhi kabhi laayegi
Har jaan ke saath lagi hai tu jism ban kar
Mukhtalif taur tareeqe sab ke liye bu’n kar
Dikhaati hai tamaashe kai, har naye pal mein
Kahan kahan se laati hai tu ye sab chun kar
Soch mein teri mere kai subha o shaam guzre
Rakh ke unwaan tera nakaam kai program guzre
Tujhe jeete hain bina jaane tere maqsad ko hum
Phir bhi hansi khushi tere sath har zer o baam guzre
Main na jaanu tujhe. Kya tu jaane hai mujhe
Mere wajood ke pehle se pehchaane hai mujhe
Rooh is Jaan ki to , tu ne bhi na dekhi ho gi
Kai raaz hain poshida jo samjhaane hai mujhe