Thursday, March 21, 2024

Ashaar

 Tanhaayee pasand karti hai yeh zindagi

 Tanha aayee tanha jaayegi yeh zindagi'

-------------------------------------------------------------------------------------------

Zindagi ka har pal hota kitaab sa hai

ke agle safhe pe musannif ka khitaab kya hai

Padhne wale ko pata chalta hai padhne ke baad yeh

Achcha pal hai aaya ya phir qismat kharaab hai

-------------------------------------------------------------------------------------------

Dhoondata hoon sitaara mera khoya hai kahan

Bikhre pade hain aasmaan pe zarron ki tarah yeh

------------------------------------------------------------------------------------------


No comments:

Post a Comment