Mukhatib huway wo ho ke kuch hum se jab naaraaz
Ho gaye numaayaan unke chupe huway sab raaz
Surkh chehra, kapkapaate hont, nafrat bhari si aankh
Rukha andaaz, kathakali karte haath aur besuri awaaz
——////——/////——//////—-
Guzar gaye din is tarah jaise guzre lamha koi
Doston ki sangat thi, rahe na dost tanha koi
—-///——///::—-///::://—-
Koi Pal ho koi lamha ,raat ho , yaa phir din
Mehfil e yaaran chalti rahe jeene ke hain 4 din
—/—/////——-:::////———:::////::——
Musalsal kashmokash aur jad o jahed hi karaati hai
Zindagi kum hi deti hai hamein aaraam ke pal
——://—///:::://———//////::::——-
Kabhi logon mein reh kar bhi hum tanha hi rahe
Aur kahbi tanhaayee mein log aas paas lagte hain
No comments:
Post a Comment