Monday, July 20, 2015

kuch aur...


Amal hi na ho jab baat pe to ghalti kahan se ho
Karte hain wahi ghaltiyan jo karte hain kuch amal

----x----
 
Guzre na barkaton ke khushgawaar ye mauqe
Chalta  hai  kahaan  bas,  jo koi  waqt  ko  roke
-----x----

Kar  madad to ummeed e sila na kar
Dost majboor ho to uska gila na kar
Zindagi aasaan lagegi   jeene ke liye
Naadaano se tu har roz mila na kar

----x----

Kabhi  ahsaas  aisa  ho ke  hai  Duniya  badi  sangdil
Kabhi mehsoos aisa ho ke Duniya hai mere dil mein  

 ----x----
 
Waise to duniya mein di jaati misaalein
Jo apni misaal aap hai wo shakhs hai Dilip

----x----

Ubhar aayee zehan mein us ki azmat aur waqar
Jab bhi likha dekha yeh naam kahin par hum ne  

----x----

Lutf bachpan mein bade paaye hain jee jaanta hai
Maar bhi aisi hai khaayee ke jee jaanta hai.

---x---

Mere aane ki hon gien  bas do chaar wajah
Kai asbaab hain jo aane se mujhe roke hain
---x----

Jaanana chaaho ge kyun Mumbai hai mere dil ke qareeb
Yehan  kai  waaqif hain , hamdam aur mere dost bhi hain
----x---

Kya  jaante ho hukm aur darkhwast  ka  faraq
Log hukm maante hain darkhwaast mustarad

 

No comments:

Post a Comment