SOCHTA HAI KYA BADH KE THAAM LE PAGLE
GAR WAFA MIL RAHI HO JO WAFA KE BADLE
KHUSHNASEEB HAIN WO JIN KO SILA MILE
KYA PATA KAB YEHAN DIL AUR ZEHAN BADLE
----------------
Hamein jhutlaata raha jaane kyun har koi
Hum to karte rahe hamesha sab ki dil joi
------------------
Us ne dekha aur moonh se
kuch na kaha.
Aur meri aankh se aansoo phir ruk na sakay
---------------
Shayad ke bhooli baat un ko yaad aaye
Mein ne maazi ki ek tasweer un ko bheji
hai.
--------------
jab bhi guzra hoon maazi ke jharokon se kabhi
sabhi raahein, sabhi galiyon ne tera pata
poocha
jaane tu kaun si jegah pe hai jaa
kar ke chupa
har maqaam o manzar yaad karta hai tujhe
har koocha
--------------
Raat taareek thi roshani na thi chiraagon mein
Tumhein dekha to raunaq si chaa gayee har
su
ya
Raat taareek thi roshan na thay chiraagh kaheen.
Roshan mehfil ye huwee qadam tumahaara jo pada
No comments:
Post a Comment