Jo milta sukoon hai to fikrein bhi miltien
Huwa dil jo halka to zehan nahin khaali
------------------------
Lab khil jaate thay jab bachpan
yaad aata tha
Aur kabhi hum ro bhi dete thay
jawani yaad jab karte
Ukta jaata hoon roz ke kaamo se jab
Tujhe yaad kar ke sukoon milta hai
----------------------
Junoon mein keh raha hoon lekin bakwaas nahin hai
Khuda kare ke wo samjhein haqeeqat ki zuban meri
----------------------------
Hum se ho ke mukhatib jab wo koi baat
kehte hain
Zubaan kuch aur kehti hai aur Nazar kuch aur kehti hai
Bigul azaadi ka mushkilon se baja
Huway qurbaan sahib e jaan kaise kaise
ya
Milti hai chaahat badi mushkilon se
Huway qurbaan sahib e jaan kaise kaise
--------------
Jo nazar rakhte thay neeche wo mujhe dekhte rahe
Main jaan na saka ke is ki wajah kya thi.
No comments:
Post a Comment