Saturday, August 23, 2014

ASHAAR




Karein hum kyun shikwa unki kotaahi ka
khoye honge wo mere hi khayaalon mein.
----
Jaane kyun thodi der mein ab oob jaata hai
Jo dil thakta na tha kabhi doston ki mehfil mein

Kyun  mein  raazi  huwa  faaslon   ke  faisle pe
Jab  mere saath faqat  faaltu  ki  fikrein  thein
-----

Tere aane se na  sudhra na tere jaane se sudhrega
Zamaana  abad se hai  aisa qayamat ko hi sudhrega  
---------

huwe majboor itne, aane ki koi raah nahin dikhti
Karte tarkeeb hum  aisi ,  kaash koi hul nikal aata
-------

Marz  jab laga liya to phir gham kaisa  bhale dawa agar nahin aati
Maut  ka  ek din moyeeyan hai,  neend kyun raat bhar nahin aati.
 
(Ghalib se maazrat ke saath)
-----

Padh Laa houl aur bismillah phir tu kaam apne kar
Dafaa shaitaan hoga aur sala’a na phir qazaa ho gi     
------        

Zindagi bhar hum ne ki unki tarfadari magar
Aaj   jab unki  thi  baari  to mukar  baithe wo
------
Padh liya hai bahut tarbiat bilkul hi nahin
Aaj ke aalim ko kaun sikhaaye ga tameez
-----
Kab wo qaid huway  jin ke hon zehan khule
Har  bandish se wo khud ko chuda lete hain  
------
Ibne Aadam  ko mana hai khud pe  karna ghuroor
Ahtiyaat   kitni hi karo yeh aa hi jaata hai huzoor.
-----
Aur kuch nahin arz karne ko mere paas
liye baithe hain roz ke maamool ko hum

 

No comments:

Post a Comment