Friday, August 22, 2014

NASR ki shakl mein sahi baat....


Waqt ek sa nahin rehta kabhi kuch to kabhi kuch, jo cheezen hum ko pehle buri lagti thein wo ek dum se achchi lagne lagti hain aur jin cheezon mein hum pehle jaan chidakte thay wo ab buri lagti hain.

Kab kya ho kisi ke saath,nahin maaloom ,  sab ke apne apne haalaat hain wo use maaloom,  aaj achche kal kharaab , kal kharaab  aaj achche. Zindagi badi hairatangez hai,kabhi Gandhi to kabhi Changez hai. 

Zehan ke darwaaze khol ke udo to beinteha aasmaan, aur dil ke darwaaze kholo to in mein sirf chand pasandida goshe….
 
Zehan ke darwaaze kholo aur parwaaz bulund karo kai aamsano ko chu lo ge aur yehi hamein sikhaaya gaya hai ke phail jaao, harkat mein barkat hai…dil ki suno ge to apno tak mehdood reh jaaoge khud bhi takleef mein raho ge aur unko bhi takleef do ge jo tumhaare apne hain.

Kuch kar jaao phir apno ko sahaara do…….

No comments:

Post a Comment