Lo ab baras padien barish
ki boondein har taraf
Hogi haryaali har soo aur taza
hawaein har taraf
-------------------------
Dhoondata tha
khushiyon ko mein fuzool kaamon mein
Milien
mujh ko yeh magar Allah ki bataayee raahon mein
-------------------------
Jaane kaise yeh log , masoom ka
karte hain qatal
Hum
se to mujrim bhi na, jaan se maaraa jaaye.
GAZA TRAGEDY PE
------------------------
Jaane kyun thodi
der mein dil oob jaata hai
Jo kabhi na thakta tha doston ki mehfil mein
Thay wo saal pichlay jab huway thay hum guftaar
Iba, Azeez,
Mirza, Abbas , Toni, Suresh aur Sattar
Sochne se
hai lage jaise yeh kal ki
hai baat
Guzarte waqt ki
duniya mein hai bahut tez raftaar
-----------------------
KUCH TO HAI BAAT, KE AB BAAT KUM
HAI
KYA HUWEE BAAT KE, MULAAQAAT KUM
HAI
THA EK WAQT KE SAATH REHTA THA
RAAT DIN
AB MIL BAITHNE KE WO DIN RAAT
KUM HAIN
---------------------
No comments:
Post a Comment