Friday, August 8, 2014

ASHAAR


Khatam ramzaan honge deen ho ga door phir hum se
Aur  ghooma kareinge hum liye Duniya ki fikron ko

-----------------

Kartein hain har roz Dua aur hum ahkaam -e-ibadat
Hamein maalum hai , ye hota hai  ba’naame-ibadat
 
------------------

Subah se sham kar di khat mein tere waste hum ne
Tha intezaar hamein  itna ke bas ek shaer ho jaaye
 
------------------

Un ko dekhne  se  udh  jaati  hai   munh   ki  raunaq
Wo samjhte hain ye beemaar  hai, chalo achcha hai. 

Dekh ke jab wo yeh kehte hain ke,  dawa li   tum ne
Hum samajhte hai , dikhaawe ko sawaaal achcha hai

 
----------------
Hind ka musalmaan ab apni apni  fikron mein hai
Jazba bahut hai deen ka magar bata firqon mein hai
 
bata = divided
-----------------
kai saal  guzre tujh ko hai  jaana’n kiye huwe
ab bhi dil  dhadkta rehta  tamanna liye huwe
 
-----------------------
Phir le chala waqt dikhlaane aaina meri barbaadiyuon ka
Kise mein morid ilzaam thehraaoon apni kotaahiyuon ka.
 
 

No comments:

Post a Comment