Jo mein ne kahi baat, woh na
thi un kahi
Kahan se laaoon mein wo baat , ho jo nayee
Dohraani padti hain baatein is zamane mein
Aaj Aadmi bhoolta hai baat, thi kal jo sunee
-----------------------------
Karoon mein kya ke mil jaayein mujhe bas paise
wo chaahe aayein mere paas bhale hi
kaise :-)
--------------------------
Hai sab kuch yehan phir bhi lage kuch khaali khaali
Khud kafeel ho kar bhi bane baithe hain
Sawaali
---------------------------
Kahan tak shukr baja laaon, mein us ke rahm-o- karm ka
Mein kehne baith jaoon to khatam alfaaz
ho jaayein
---------------------------
Hoti hai tanhaayee kaisi kyun mein
us ki yaad karoon
Manzil mehfil ab hai haasil kyun sukoon barbaad karoon
----------------------------------
Masroof hai har koi apni zindagi mein aaj
Sab ke saath lagi hain pareshaaniyan kai
-------------------------------
BADH GAYE SABHI MANZILON KO REH GAYE HUM KHADEY
HUM JAAGTE HAIN TAB KE
JAB SAR PE EK DANDA PADEY
-----------------------------
Yehi hota hai aaya duniya ki taareekh mein ab tak.
Banaane jaayein kuch ,aur banta hai kuch hum se
-----------------------------
Kaise aansoo bahaaoon duniya ki ab sangdili pe main
Darr hai kho na doon unko jo meri aankhon mein rehte hain
-----------------------------------
Jo teri samajh hai, wo kahan hai samajh un ki
Kahan se laayein dawa daanaayee ki
un ko dene hum
-----------
No comments:
Post a Comment