Saturday, September 6, 2014

ASHAAR


Zamaana kahe , maano hamesha dil ki baat
Kehta zameer hai ke  aqal se bhi kaam le 
 -----

Bikte hain kai  log yehan kodiyuon ke mol
Zameer ne  kabhi is ki  ijaazat hamein na di
---- 

Ghalti se hum karte hain khata kabhi kabhi
Wo jaan kar  ke kiya karte hain khata roz

------

Meri kaawishein meri khwahishein kahin kho gayee hain ghubaar mein
yeh  lage hai dil , nahin ab mera,  na   fizaaon   mein  na  bahaar  mein

-----
 




Ab sabr hi reh gayee hai dawa
Na jawaab aaya ,  tha  jo  kaha
 
----
 
Huwa maaoof zehan aur qayaas gum
Mere hosh  khoye  aur  hawaas gum
Raha   un   ka   agar,   yehi     haal   to
Phir meri ummeed gum meri aas gum
---
 
Kaha tum ne to mein ne likh diya, chaahe  lutf  lo ya  bezaar  ho
Meri kaawishein , mere khayaal ko  chaahe rakh lo ya bazaar ho
----

Ummeed lagaaye apno se baitha hai yeh dil
Maayusiyaan ab is ke muqaddar mein aayeingi
 
 
-------
 
Hoon zinda to hai logon se dosti wa dushmani meri
Wa  gar  na kaise hota   apna shumaar zindon mein
 
------





Karein hum kyun shikwa unki kotaahi ka
khoye honge wo mere hi khyaalon mein.

----
 

Kab wo qaid huway jin ke hon zehan khule
Har bandish se wo khud ko chuda lete hain

----

 
 Har pal jo guzar rahi, wohi hai zindagi
Baaqi yaadein hain ya qayaas aaraayee

-----

Jaadu hai fareb hai dhoka hai kya hai
Zindagi mujhko bata de ke tu kya hai

-----

Kyun parda kiya karte hain wo dekh ke hamein
Hum ne jo kiya Parda to dekhe ga unhein kaun

--------

Samajh sake tujhe na , ek umr guzr gayee
Koshish kareinge phir jo mili zindagi ek aur

----
 

Kehte hain ek saa nahin rehta hai kabhi Waqt
Yeh jaan kar bhi Dil na behlta kabhi kambakht




No comments:

Post a Comment