Jaane kab tootein zanjeerein mile aazaadi
Jaane kab hoga qafas ka ye parinda aazaad
Jaane kab taale khulein ge zehan ke mere
Jaane kab hoga yeh murda dil ZINDA aabaad
Jaane kab hogi pehchaan mujhe logon ki
Jaane kab mein reh sakoon ga shaad baad
Jaane kab hogi muqaddar mein mere khushiyaan
Jaane kab hoga haasil mujhe kehna zindaabad
Jaane kab dil mera dhadhke khud apni marzi
Jaane kab paayega sukoon yeh aadam zaad
No comments:
Post a Comment