Dard apno ka apnaaya aur us pe chubhti baatein
Jo sah raha hai tu yehan, hota hai sab ke saath
--
Mein “ heera’ hoon jis pe na rang-e duniya chadhe
Nahin “Paani” ke jis mein milaaya, ban gaya
waisa
--
Khud hi hain poori karni jo khwaheeshein hein
meri
Khwaabida tamanna ko kisi aur mein kyun dhoondun
---
Jise
kehta rahe hum saari umar ko achcha
Ab usko bura kehna hamein bura hai lage
--
Kahein
ge hum bura usay , to na ghatega woh
Aur
na badhe gi izaat hamaari is buraayee se
--
Hamein maalum na tha kya hai rishta dil ka aankhon se
Pata hum ko chala jab dil yeh toota aur aankh bhar aayee
---
Tu hai taareef ke qabil,
likhun kya waaste tere
Ghazal teri Nazm teri , hain
qaseedey waaste tere
---
Jaise ho chale aao,
yaa aa jaao sanwar kar tum
Hamein
har haal mein soorat tumhaari pyari lagti hai
No comments:
Post a Comment