Yehi to haq hai Dosti ka Doston mein
Ke wo tohmat lagaaein ya ilzaam dein
Kahein baat achchi to naaraaz hon
Aur sunaayein jo gaali to inaam dein.
----
Maangta hoon wapas, waqt jo guzra tha bachpan mein
Mujhe maalum hai Dunia mein na lautoonga main kabhi
----
NA KAR US PAR BHAROSA TU, TUJH SE JHOOT JO
BOLE
KARE JO AITMAD TUJH PE US SE KYUN JHOOT TU BOLE
---
Sukoon barbaad kar ke apna hum baithe hain mehfil mein
Kaha kis ne tha yeh hum se ke tanhaayee mein dum nikle
--
Milti hai khushi hum ko , achche kaam mein magar
Kehte hain buray kaam ka hota hai maza aur.
---
Ab tak na mili manzil gaye mar thak haar hum.
lo nakaam chale duniya se zindagi guzaar hum
----
Jaise mile jahan se mile mar rahi hai ye kamaane paise
Is haal mein ab tu hi bata ye qaum zinda rahe to kaise
---
Marey jaate hain hiras mein hawas mein ab
Bahut mushkil hai is qaum ka zinda
rehna.
---
Door thay itni der se ab milna ajab sa lagta hai.
khaamoshi ko apni zaban dena ajab sa lagta
hai
No comments:
Post a Comment