Na dekha na bhaala tu bola, Aye Laala
ke ab to nahin rukne wala mein Laala
Tera mail kal tak mila na jo mujh ko
Tere haath todne mein aaoonga Laala
Yeh jaanu mein karta hai tu kaandi
kaala
apun bhi Mukadam agar tu hai Laala
Panga na lena tu mujh se nahin to
nikaalunga Laala , mein tera diwaala
Mein ne hai khud ko ab tak sambhaala
Wagarna hoon kaisa jaane tera Saala
(
Brother in law..gaali nahin )
Darta nahin hoon phir mein bhi kisi se
Mein rakhta hoon chaaku Rampur waala
Jhopadpatti ki sab Maa Behan aur Khaala
Yehan sab hain jaane mujhe Gora Kaala
Bakhshta nahin mein kisi ko kabhi bhi
Meri baat ko agar sun kar ke taala
Ungli teri key board pe rakh, Aye Laala
Warna na kehna , kaat ungli kyun daala
Ghusse mein mujh se chal jaata hai chaku
Soch ungli na rahi to, na banega niwaala
Jaa bakhash diya tujh ko mein hoon dilwaala
Chal hoja tu ab khush band kar apna naala
Jab ho teri marzi mail likhna mujhe tu
Yaad rakhna tu , kis se pada tera
paala
No comments:
Post a Comment