Naaraazgi ka hai khauf samjhaaein to kaise
hamein chutti nahin milti ghar jaayein to kaise
--
Jab hum guzarte gaa ke gali se log kehte besura gala dekh wo gaya
Gaaliyaan kyun na dete log hamein gaate aisa, lagta ke sur kho gaya
Hamein gila nahin kisi ke gale se lekin M. Rafi se yeh gila ho gaya
Bhaiyaa kyun na de gaya hamein gala us waqt is jehan se jo gaya
---
Har koi apni marzi ka gaata hai gaanaa aaj
Gaye kahan wo jo karte thay dilon pe raaj
---
Kisi ka milna bichdna hai rakhta itna asar
Kisi ka milna bichdna hai rakhta itna asar
Mile to bane na mile to mushkil hai zindagi
----
Achcha kya bura kya gunah kya sawaab kya
Jab sawaal hi nahin raha inka phir jawaab kya.
---
Tujh ko rehna hai agar khush to
Bhool sab yaar kaam ki baatein
----
Hosh ke kaamon mein hum mar mar ke jiye
Deewaangi sikhaati hai sahi dhang jeene ke
---
Yeh kaise jee rahe hain hum apni zindagi
Kis pal mein kab kya ho hamein khabar nahin
YA
Zindagi hum apni jeete hain phir bhi
Kab kya ho is se be khabar hain hum
----
Apni jaan ko kaise mein apna janoon
Ke di hai jaan jisne wo phir le bhi
lega
--
Nehar bana di, un ke gulshan ka karobar chala
Magar humaari pyas ko ek qatra paani na mila
--
Dua dete hai jo wo gaali bhi kabhi dete
Haalaat zindagi ke ek jaise kahan rehte
--
Dono hi kaam mushkil hain aaj duniya mein
Haq ka talab karna aur doosra is ka ada hona
--
YEH BERUKHI SI
DUNIYA LOG HAIN YEHAN FITNA
BAN KE UDAAS PHIR TU KYUN BAITHA HAI ITNA
---
Umr badhi , ab yaaron padhI aankhein dhundhali
Bhoola mein maazi, huweein yaadein dhundhali
--
Mila kar matti aur paani ko guunda hai jise
Dhale kyun na phir Insaan , jaisa tu
dhaale
No comments:
Post a Comment