Apne wajood ko samajh shukr Allah bol
Shumaar tera hota hai nek bandon mein
--
Duaon ke zor pe chalti hai zindagi
Warna kahan bisaat ke ek pal koi jiye
---
Sune baghair kisi shakhs ko na jhutla tu
Kya khabar ke nikal aaye naiki ka pehlu
--
Apne tasawwur ko tu yaqeen mein
na dhaal
Ke wo hota nahin aksar jo tha socha hum ne.
--
Piye bin hi mera ab hosh kho gaya hai
Qalam tha kya karna aur kya ho gaya hai.
---
Dekh phir aaj behka yeh qalam hai
Dawaat mein ghalti se kya daaru hai daal di
----
Jo ho haasil hamein dekna mausamon ka
To hum sirf Bambai ki baarish ko dekhein
No comments:
Post a Comment