Un ke aane se main paa leta hoon khushiyan thodi
Wagarna fikron mein ghiri rehti hai yeh duniya meri.
Kahan rehti hai hum ko ab khud ki bhi khabar
Bhula deti hai sab ko yeh zamaane ki fikar
Rehta nahin hai yaad mujh ko
ab amal mera
Mere haafize pe nahin chalta hai ab dakhal mera
Huway hain Umr ke is muqaam pe ab sab door door
Dekh ke jaata hai ab door mujh se haafiza bhi mera
Kareinge ge dher si baatein milenge jab hum
aur tum
Bas ek kaam yeh karna mobile na saath laana
tum
Guzar rahe hain pal ban ke din, hafte, mahine aur saal
Kuch bhula dena hai behtar, kuch ki yaadein be misaal
Karte hain zulm aisa ke dil mein basay hain woh
Rehte hain ab wo door door kehne ko hain azeez
Bichde hain tukde dil ke, yeh duniya ka hai kamaal
Zinda hain is ummeed pe ke jald ho ga phir wisaal
Tum yaad rehtay ho magar hain tehreer se qaasir
Hain masroof itne kaam mein ke bas nahin chalta
Jatan koi kaam na aaya mera unko manaane
mein
Na khidmat , na rishwat , na qudrat
aur na qismat
No comments:
Post a Comment