Saturday, May 9, 2015

GHALIB KI ZAMEEN PE


Aaj bin kaam unka bulaawa kya  ajab na huwa
Kabhi bulaana hamein unka be sabab na huwa

 

Kabhi  do  bol  hi  wo  hans  ke  bolte  hum  se
Hamaari qismat mein aisa kuch ghazab na huwa

 

Kyun rahe hum nazar mein hamesha se haqeer
Un ke dil mein kabhi khayal hasab nasab na huwa

 

Karte  nahin  hain un pe hum ,ab  aitbaar kabhi
Na khaaya dhoka ho hum ne,  aisa kab na huwa

 

Log  kehte hain  aksar  ke tum  bach  ke  raho
Koi  na koi ilzaam hoga  phir,  agar ab na huwa

 

Un ki  har ek  baat  ko  maana  tha  sahi  hum ne
Woh bu’t  hi raha nazar mein meri,  rab na huwa

 

Hum  se  kehte  hain ,  hud mein raho ae Shakil
Sulook un  ka  kabhi  hum se  baa  adab  na  huwa

No comments:

Post a Comment