Kiya jab hai rishta, to phir nibhaaya hai samjho
Todna jodna hai kya , mujhe maalum nahin
Hum to karte hain sabhi se ek
jaisa sulook
Kaun achacha bura kaun, mujhe maalum nahin
Mujh tak aati hai jo raah
badi seedhi hai
Log chale Raah tedhi, mujhe maalum nahin
Karein chaalaki , dein dhoka ye sab
kis ke liye
Iska faayeda hai kya ? mujhe maalum
nahin
Hai agar khush koi , to jale kyun yeh duniya
Mile kya jalne se, mujhe maalum nahin
Jhoot bolte hain kyun sach ko chupa kar ke log
kab sach jhoot se haara ,mujhe maalum nahin
No comments:
Post a Comment