Tha waqt bura apna, ke ho gaye nakaam
Ki thi yehi koshish ke hum kaamyaab hon
Dekha ye kya jo aankhon se dil mein utar
gaya.
Aur dil jab bhara
to aankh se paani uchal pada
Kaise rahega awaal, tu har ek daud
mein
Dekh main ne is maidan mein baazi maari
Majboor har insaan hai yehan, bebas hai is
qadar
Jaata hai door apno se kyun, hum ko
hai khabar
Kehne ko suba kuch hai magar kuch nahin apna
Insaan phirta hai maara maara jaane kidhar kidhar
Na bazm apni na saaqi apna na sheesha apna na jaam apna
Agar yehi hai nizaam e hasti to ghalib zindagi ko salam apna
Milegi kab is qafas e ghulami se parwaaz e azaadi hamein
Ghire huwe hain gardishon ke ghanay ghere
mein hum
Karoon nafrat to bura yeh hai ke ghussa mujhe aaye
Aur ho chaahat to yeh tai hai ke mujh ko wo rulaaye
Umr jab maut ki dahleez ke paas laati hai
Din ka har pal guzarta hai
fikrein le kar
No comments:
Post a Comment