Bana hukmran to khud ko khuda jaana
Admi behtar hai gar Admi bankar rahe
Dunia pe hai hukmaraan Adam
Par waqt pe zor nahin chalta
Bhool baitha hai us taaqat ko
Jiske hukm bina patta nahin hilta
Nahin jaanta ke hota kyun badnaam hai naam mera
Jab yeh bazm teri saaqi tera sheesha tera hai jaam tera (Mirza ji se maazrat ke saath)
Kahan dhoondenge un ko jo lamhe saath beete thay
Kahan aata hai waqt jo guzar jaaye pal ki khushi dekar
Koi shikwa
na karo aur shikaayat bhi nahin
badalte huwe mausam hain maslehat ke tehat
Kabhi tanhaayee hai bhaayee kabhi ghabraaye dil is se.
Kabhi
mehfil mein hai lagta dil kabhi bezaar hote hain
Bura bana hai yeh aadam to kuch
maslehat hogi
Wa garna duniya mein aane ka phir kya sabab hota
Karte nahin hain waise hum se sawaal wo
Jawaab khud hi de dete hain, jab sawaal ho
Kya kaifiat hoti hai is aane aur jaane mein
Ye hum se ziyaada aur kaun jaan sakta hai
Kabhi dil ko tasalli dein kabhi num aankh band kar lein
Kabhi hum muskura ke chupaa lein dard ko
apnay
No comments:
Post a Comment