Toota hoon is tarah ke ab mushkil hai jodna
Bikhar gaya hai kuch is qadar wajood mera
----X---
Hai oonchi udaan aaj to kal hoge zameen pe dher bhi
Aanaa zawaal sab ko hai chaahe ho ab ya lage der bhi
----X---
Milta nahin hai Insaan, mukammal
jehaan mein
Khaamiyaan aur khoobiyaan sab ka naseeb
hain
----X----
Mera kaha tujhe aata hai samjh mein yeh mujh ko hai pata
Tujhe samjhaane ki koshish mein
karoon phir kyun kar
----X---
Agar hote hum zaheen to kya kya karte
Dekh ke kya is kund zehni ka haasil hai
No comments:
Post a Comment