Hai aane ka iraada, is saal Mumbai
Magar chutti ka, nahin pata bha'ee
Kareinge koshish ke barsaat mein ho
Aur aanaa mera Jumme ki raat mein ho
Magar sochta hoon kyun Mumbai jaaoon
Wahan kaun baitha jise soorat dikhaaoon
Milunga jo aa ke tujh se to hoga fazeeta
Mujhe aaye huway ab hai ek saal beeta
Tu karega shikaayat main kyun late aaya
Aur maange ga mujh se kya main Date laaya
Aur jab main kahoonga ke main yeh bhoola
Maar ke tu banaayega mujh ko langda loola
Jaa aataa nahin ab main Mumbai ko teri
Kyun peeche pada hai, ab tu jaan ko meri
No comments:
Post a Comment