Saturday, May 30, 2015

DEDICATION TO A FRIEND


Jis pal maazi khayaalon se guzra

Wo lamha hamein bahut baar guzra                      baar = bojh ki tarah

 

Murjhaaya hai zindagi ka yeh gulshan

Khizaan hi khizaan hai daur e bahaar guzra

 

Wait….let us dedicate this to our friend Kalam who passed away...

 

Jis pal maazi khayaalon se guzra

Wo lamha hamein bahut baar guzra                      

 

Jashan hum khushi ka manaenge kaise

Jahan se hamaara ek yaar guzra

 

Murjhaaya hai zindagi ka yeh gulshan

Khizaan hi khizaan hai daur e bahaar guzra

 

Jawaan jis se rehti thi mehfil e yaaran

Wahi dil ko thaame hai dildaar guzra

 

Gham e shab o roz sunaate thay jis ko

Be panah gham de ke wo ghamkhwaar guzra

No comments:

Post a Comment