Monday, January 4, 2021

Kaash

Ghamon ke parbat ko neze pe uchaala jaaye
Dukhon ke saagar ko boond boond ubaala jaaye 
Aaye Masiha koi jo bujhi aankhon mein roshni aaye
Dhundlay dhundlay se nazaare se yeh jaala jaaye 

Khushiyun ke raston se kanto ko nikaala jaaye
Andheri raahein hon door dil mein ujaala jaaye
Koi aas paas hamaare kyun naa ummeed rahay
Is Dunia se door girya wo zaari ka naala jaaye 

Sab ki koshish ho ke girton ko sambhaala jaaye
Imaandaari ke saanche mein beimaan ko dhaala jaaye
Khudgharzi na panapnay paaye dilon mein dekho
Samaaj mein bachchon ko is tarah se paala jaaye
Neki karo aisi ke isay na daria mein daala jaaye

Madad sab ki karo ke door sab ka diwaala jaaye
Tangdast na hon log yehan, sab ko rozgaar mile
Sab ke haq mein sabr o shukr ka niwaala jaaye
Ilm ho haasil sab ko , jahaalat ko ab taala jaaye
Door jaa kar giray ghareebi ko yun uchaala jaaye 
Ho ilaaj muft mein , hum woh zamaana dekhein 
Jo bhi jaaye payaam hum se , woh aalaa jaaye

No comments:

Post a Comment