Tuesday, January 19, 2021

Rishta

Dard ka dawa se rishta hai
Bhatke ka Huda se rishta hai
Dukhon ka hull hai Rab ke paas
Mushkilon ka Dua se rishta hai

Ba ‘dee ka waba se rishta hai
Ghusse ka bala se rishta hai
Kehne se pehle zaroor socho
Lafzon ka ada se rishta hai

Neki ka jazaa se rishta hai 
Gunah ka sazaa se rishta hai
Andheron se nikal ujaalay le 
Shaam ka Saba se rishta hai

Shab ka Shua se rishta hai 
Darya ka ruba se rishta hai 
Tu khud ko tanha na samajh
Bande ka khuda se rishta hai

Dunia ka fanaa se rishta hai 
Zindagi ka qaza se rishta hai
Akhirat soch ke qadam badha
iska jannat ki raah se rishta hai

No comments:

Post a Comment