Khulus milta nahin dhoonday se ab is Dunia mein
Ye band pada hai kitaabon mein kisi almaari mein
Jo ab khulegi nahin chaahey amal jo kar lo
Phir is qaid se jhanke ga yeh bahar kaise
Is ghutan mein to ghut ghut ke mar hi jaayega
Badla huwa ye daur hai har daur ki tarah
Ye daur to jaane hai khulus ka matlab
Ye aur baat hai hota nahin hai iska amal
Lekin ab iske baad jo daur aayega naya
Wo lafz ‘khulus‘ ko sunkar na samajh paayega
Kitaabein banegi us daur mein deemak ki ghiza
Khulus lafz phir padhne mein bhi na aa paayega
Phir ye na ada hoga ,kaha hoga na padha hoga kabhi
Ye wo daur hoga ke jab har aadmi , aadmi hoga
No comments:
Post a Comment