Mere saaye kabhi tujh se na paray honge
Hawa ke jhonke meri awaz se bharay honge
Fizaa moattar rahegi hamesha khushbu se meri
Tere chaman ke hamesha shajr haray honge
Meri yaadon se tasawur tera mehkta hoga
Aur meri baaton se hardam chahekta hoga
Palkein jab band hongi to dekho gi mujhe
Hosh mein ho ke bhi aalam ye behakta hoga
Tere dil mein rahunga teri dhadkan ban kar
Ankhon mein basunga tera sapna ban kar
Tere safar mein tera humsafar na ho kar bhi
Tere Wajood mein rahunga mein tera ban kar
Jazbaat hain jazba hai to kya jaan ki parwah
Sitam chaahe jitna yeh zamaana karay barpa
Sab mushkilein hongi aasaan tu fikar na kar
Qudrat hai tere saath us ka wajood hai har ja
No comments:
Post a Comment