Thursday, July 8, 2021

poem

Kitne mushkil ke thay din jab yehan aaya

Na socha kabhi ye ke main kahan aaya 

Jis se milta,  lagta ye Ajnabi hai koi 

Chod ke apna jehan jab is jehan aaya 


Liye kai khwaab aankhon mein din bitaata raha

Himmat na haarna kabhi khud ko  jataata raha

Thay pareshan bahut rehti uljhanein thien kai 

Hum yehan khush hain apne ghar  bataata raha


Din pahaad sa lagta hai ghar jab yaad aata

Aisa  pal aksar har ek lamhe ke baad aata 

Kaate nahin kat’ta ,  waqt ye sakht hota hai  

Muqaabla aisa hota   jaise koi Jehaad aata 



Suna  tha ghum ka khu-gar hai to mit jaata hai ghum

To phir kyun aahein bhare rakhe kyun aankhein num 

Ghont’ta  raha  gala ghamon ka aur  kabhi gila na kia 

Basar karte rahe is tarah se Din Mahine aur Saal hum 


-

Khuli rakhi thi jo kitaab ab wo band kardo

Apnee azaad ravish ko ab paaband kardo 

Bhale hi kaam tumhaare abhi adhure  hon 

Apne saare tajurbaat   qalamband kardo


No comments:

Post a Comment