Teri baatien jhonke e khushgawar ki manind
Palkein khulein jhukein teri lail o nihaar ki manind
Muskuraahat teri gham mera bhula deti hai
Mera wajood ban jaata hai ghamkhwaar ki manind
Khizaan pe chaaye haryali jaise bahaar ki manind
Tu mujh ko lagti hai achchi gul o gulzaar ki manind
Mere har dukh ka madaawa kare wajood tera
Aam sa din bhi lage mujhe koi tehwaar ki manind
Muhabbat mein pada hoon mein teri beemar ki manind
Tere aane se milta hai sukoon teemaar ki manind
Milne pe hai lagi pabadniyaan kyun is qadar apne
Samjhdaar ho kar bhi karein sulook log ganwaar ki manind
Zamaana lafzon se kare waar talwaar ki manind
Khadi kar rakhi hain mushkilein deewar ki manind
Azal se hota chala aa raha hai yeh zulm inka
Gale lagaaye phirte hain nafratein pyaar ki manind
No comments:
Post a Comment