Thursday, July 10, 2025

Naani ki kahaani

 Tum ko dekha to yaad Naani kahaani jo kehti thi

Koh e kaaf hai ek jegah jahan sundar si ek Pari rehti thi 

Chaand sa chehra dhula dhula sa sab ko pyaara lagta tha 

Jo bhi dekhe dang reh jaaye aisa dulaara lagta tha 

Aankehin thi ya thay diye 2 har dam jalte rehte thay 

Zulfein uski lehraati Jaise badal chalte rehte thay 

Wo hansti to phool thay jhadte muskaan moti bikhraati 

Uski nagri uski galyun se khushiyun ki ek lehar si jaati 

Baatein jiski shahar se mithi hoti pyaari pyaari 

Sunkar jisko Dunia saari hoti waari niyaari

Khushiyaan hi khushiyaan lutaati jehan jehan wo  jaati 

Sab ke gham wo ghaayab  karti saare gham bhulaati 

Sunkar hamesha sochta yeh nanha sa mera dil

Kahan rehti hai yeh oaeu kaise jaaye yeh mil 

Tum ko dekha to yaad aayee naani kahani jo kehti thi

Koh e kaaf mein koi nahin wo tum hi thi jo rehti thi 

No comments:

Post a Comment