Tuesday, July 29, 2025

Dil ki Zuban

 Kai saalon se band kamre mein main yunhi dhadkata tha 

Main khoon ko raah dikhlaata jo ragon mein bhatakta tha 

Phir ek din meri dhadkan mein aa kar ke bas baitha 

Bhara khushiyun se daaman aur ghamon ko utha phenka 

Woh maasum si bholie si pyaari si lagi mujh ko 

Ke pehle kabhi bichdi thi aur ab aa ke mili mujh ko 

Be maqsad zindgai ko pyaar ka ehaaas dia usne 

Kaahmosh dhadkanon ko saaz aur awaaz dia usne 

Main apni kaifiat lafzon mein ada nahin kar sakta 

Zaban rakhta to kehta usko juda nahin kar sakta 



No comments:

Post a Comment