Saturday, March 19, 2022

POEM

 Jaane kyun ab kharaab si lagti hai 

Zindagi hamein ek  azaab si lagti hai

 

Daraati hai har pal anjaam se apne

 

Na mukammal se kisi inqilaab si lagti hai

 

 

Ilm nahin jiska hamein suraab si lagti hai

 

Bhool bhulaiyun ke yaksaan baab si lagti hai

 

Aankh khulte hi manzar badal jaate hain 

 

Hamein raat mein dekhe khwaab si lagti hai

 

 

Gunaahon mein ghire sawaab si lagti hai

 

 Maikhaanon mein bikti sharaab si lagti hai

 

 Jo rukti  nahin kisi raah ke rodhon se

 

Pahaadon mein behte oos aab si lagti hai

 

 

Mushkil zabaan mein likhi kitaab si lagti hai

 

Jo sulajh na paaye aise hisaab si lagti hai

 

 Har koi fail huwa hai  imtihaan mein is ke

 

Mushkil sawaalon ke jawaab si lagti hai

 

No comments:

Post a Comment