Abas baitha hai liye dunia ki tu soch ko
Sab yahan bhag rahe hain khushi ki khoj ko
Kis
ko fikr padi
hai jo dekhe
teri taraf
Khud gham utha pahad sa na dekh bojh ko
Zindagi dekhne ka
nazariya badal gaya
Jis ke sahaare
zinda thay wo zaria badal gaya
Kashti ko zindagi
ki le jaayein ab kidhar
Takia tha jis
darya pe wo darya badal gaya
Tanha chalne ki raah tayaar kar lee ab
Dooriyaan sab se, ikhtiyaar kar lee ab
Is daur ko aana hai zindagi mein aakhri
Bas aaj hi se zindagi dushwaar kar lee ab
Kuch logon ko hum bhula na payenge kabhi
Ehsaanon ka bojh chuka na payenge kabhi
Yaadon ke
sahaare ab beetainge shab o roz
Isi bahaane hum inko juda na payenge kabhi
Hoga na koi yaar o madadgaar is ke baad
Na honge kisi karam ke qarazdaar is ke baad
Mehfil aur
kaarvaan ke daur khatam ho chalay
Khushgawaar na
hoga phir itwaar is ke baad
Dunia mein koi waqt yaksaan nahin hota
Har waqt rahe koi saath aasaan nahin hota
Mukhtalif si
masrufiyaat hain har ek daur ki
Shikayat kyun kisi se ke meherbaan nahin hota
Kayee aaye gaye dunia mein yaad kaun raha
Barbaad kaun
huwa aur aabaad kaun raha
Kahan fursat milay kisi
ko sar uthaane ki
Sab jeete hain ghulaami mein azaad kaun raha
Sukh dukh ke khameer se, bani hai zindagi
Rab ka shukr har haal mein karna hai bandagi
Mehwar hai zindagi ka faqat ek Muqqaddar
Muqaddar bane hai waqt se jab ho pabandagi
No comments:
Post a Comment