Wednesday, February 2, 2022

Daur Aaj Kal

Naye daur ka baab khula hai

Har paapi dhoodh ka dhula hai


Nekiyaan sab hoti  hain zaaye


Sharifon ka moonh sila hai


 

Ye kaisa chalan chalaa hai


Har dhongi ka hota bhala hai


Rehte hain chain se dunia mein


Sachay ko dard hi mila hai


 

Aadmi Aadmi ko lagta bala hai


Nafraton ka zahar ghula hai


Insaaniyat bhooli hai apna sabaq


Logo ka aapas mein dil yun jala hai

 

 

Bechaini hai aur ek khalaa hai


Mizaaj har waqt  mila jula hai


Zindagi ab kyun bojh si lagti hai


Qurbaaniyun ka kya yehi sila hai

No comments:

Post a Comment