Suna hai hum ne sabhi se yeh aksar
Be- his logo ko log kehte hain pathar
Samjhte hain pathar ko bejaan jo
Hote hain duniya mein naadaan wo
Agar bejaan hain pathar to hilte wo kyun
26 /12/04 ko harkat mein aate wo kyun
Ped poudon ko bhi aisa samjhte thay log
Bejaan hain aisa yeh kehte thay log
Ab yeh socho ke kaise phool aur paude
Nikalte hain zinda jab koi beej bo de
Mitti se bana jab yeh insaan hai
Mitti mein bhi to phir basi jaan hai
kahan in ki bhi shakl hu ba hu hai hoti
har jegah juda in ki khushbu hai hoti
Goud mein apni sab ko hain daale huway
Matti Pathar hain Duniya sambhale huway
Be- his logo ko log kehte hain pathar
Samjhte hain pathar ko bejaan jo
Hote hain duniya mein naadaan wo
Agar bejaan hain pathar to hilte wo kyun
26 /12/04 ko harkat mein aate wo kyun
Ped poudon ko bhi aisa samjhte thay log
Bejaan hain aisa yeh kehte thay log
Ab yeh socho ke kaise phool aur paude
Nikalte hain zinda jab koi beej bo de
Mitti se bana jab yeh insaan hai
Mitti mein bhi to phir basi jaan hai
kahan in ki bhi shakl hu ba hu hai hoti
har jegah juda in ki khushbu hai hoti
Goud mein apni sab ko hain daale huway
Matti Pathar hain Duniya sambhale huway
No comments:
Post a Comment