Friday, January 19, 2018

Ghalat Fahmi

Mujh ko tera intezar , tera deedar talab tha
Tujh se milne ki dua, tera har zikr ba lab tha
Pata chali na aane pe na milne ki wajah teri
Hum se naraaz tha, ghussa tha , yeh ajab tha


Meri kahi huwi baton mein maza tha adab tha
Mera likha huwa jumla tere hansne ka sabab tha
Khush dekhna chaaha tujhe har pal har ghadi
Yehi kaam jo  ab hai wahi mera shughal tab tha


Sukoon dil ka tha, bechaini thi, acha bura sab tha
Magar badhaali jo ab hai kaho yeh haal e dil kab tha
Ghalat fahmi bahdaati hai dilon mein duriyaan sabki
Dost hoon, batlaao , bartaao ghairon sa mera kab tha


Tu hai kaun, main kaun hoon, na ye hasab nasab tha
Na hunar ka teri charcha na bayaan mera laqab tha
Oonch neech ka paimaana kahan meezan yaari mein
Tu jigar mera kehlaata to main bhi tera qalab tha


Bhara pyaala yaqeeen ka darmiyaan apne lablab tha
Na thi beqaraari koi, bas qaraar hi qaraar jab tha
Wo din kitne bhale thay, mushkilein asaan lagti thein
Tu tha saath mere to lagta ke khush mera rab tha



No comments:

Post a Comment