Zindagi ki dagar pe bas dhoka huwa hai
Peeche gehri khaai aur aagay Kuwan hai
Hai zindagi ek khel tum khelo sambhal ke
Jo chooke to hare, yeh aisa juwa hai
Na pairon mein hai dam na mukammal safar hai
Phir lagta hai kyun, manzil ko chuwa hai
Na tum saath aaye na hum paas aaye
Chalo zindagi bas salaam o dua hai
Wo nazdikiyan kho gayi hain hawa mein
Yeh hota raha hai ye phir se huwa hai.
No comments:
Post a Comment