Na ho dukh dard koi aur ghamon ki ghata na ho
Yeh dil burey na hon yeh naaraazgi hata no ho
Laut jayae ye duniya phir daur – e – azal mein
Na ho koi dost madad ko aur dushman data na ho
Na ho koi bhool mujh se apno ki koi khata na ho
Na apney dil ki suney koi aur dil bardashta na ho
Rahoon ban ke mast maula jab tak yehan jiyoon
Rishtay na hon na ho dosti aur koi waasta na ho
Nafratein na hon , koi muhabbat mein luta na ho
Oonch aur neech dikhaaney zamaana juta na ho
Be bas na ho koi yehaan aur na koi bhi ho zaalim
Ek doosrey ko marney maarney koi utha na ho
Makaan na ho, na ho manzil koi, raasta na ho
Bhatak jaaoon kaheen, aur koi mera pata na ho
Rahey diwaangi taari phiroon pagal sa awaara
Hai koi jagah jahaan pe yeh “aadmi “, bata na ho.
No comments:
Post a Comment