Sunday, June 2, 2013

KUCH AUR ASHAAR

Yehi hai reet yehan ki , zamane se hai chali aayee
Hua gunaah kisi se , aur kisi ne hai sazaa payee
----------------------------------------------------

Be -basi  itni badhi ke kuch nahin soojhta
Aaney wala har pal palkein bhiga jaata hai
----------------------------------------------------

Mein ye maangu sadqey Mustafa
Ke qabool ho meri yeh duaa
jab chaand mein dekhoon eid ka
mujhey milne usi din tu aa
----------------------------------------------------

Ajab si duniya mein ajab se kaam hote hain
Sunaayee khuskhabri phir bhi log rote hain
----------------------------------------------------
Kahan tak karoge hisaab tum ab is ke haasil ka
Kya kya kaam kar baitha hai yeh khaak ka putla

---------------------------------------------------

Kahan se laoon mein fursat gaye zamaane ki
Pal milta nahin mil baithne ka ab yaaron mein.

---------------------------------------------------
Har achche kaam ka hai yeh haasil
Bo- o - gey ek beej kai phal niklein.

---------------------------------------------------------

Kehnay ko tha kuch nahin phir bhi bahut kuch keh gaya
Un ki aankehin un ki baatein un ka mukhda, un ki haya

---------------------------------------------------------

Aise mauqay aatey hain yehan pe kabhi kabhi
Tha loo sa alam garmi ka , paani barse hai abhi
Mausam ka kahin thikaana nahin kab yeh karwat le
Pareshan thay garmi mein kal ab barish de kapkapi

-----------------------------------------------------------


Ajeeb shai hai yeh pehloo mein jis ka naam hai dil.
Machle kabhi matley kabhi badle kabhi phisle kabhi

------------------------------------------------------------

Ruka agar to reh jaaoonga mein peeche
Bhaagti duadti rehti hai yeh duniyaa apni.

------------------------------------------------------------

Mujh se banta hai zindagi ka wajood
Main paani hoon be rang be mazaa

-------------------------------------------------------------

Main na mehkoon na maza hai na rang hai mujh mein
Magar yeh tamaam ansar duniya ke mere dam se hain

-------------------------------------------------------------

Apni marzi na thop tu doosron par kabhi
Karney de wo usay us ko jo achcha lage

-------------------------------------------------------------

Ho agar aisa to zindagaani mil jaaye mujhe
Kho jaaye hosh mera deewaangi mil jaaye mujhe
Na rahe farq baaqi khushi aur gham mein koi
Tabiat ki kuch aisi begaangi mil jaaye mujhe

-------------------------------------------------------------

Teir meharbaaniyon ka zikr hi kya
Jo mila mujhey mein us qaabil na tha
kin kin naematon ka batlaayein hum
beshumaar hain tu ginta hai kya.

--------------------------------------------------------------


Kabhi suraj bhi baadlon mein apni roshni khota hai
Kabhi kitney hi badal chayein roshan suraj magar hota hai
Phir kyon udaas  ho gar badal ghamon se hain chayein
Hogi khushiyon ki bhi baarish sabr kar kyon tu rota hai






No comments:

Post a Comment