It is about a village called TOL GAON in Dist. Ratnagiri, I have visited several times.
Aisa manzar jisey dekhney aankhein tarse
Badri jhoom ke jis jagah khushi se barse
Jahan deknay ko miley saari kainaat ke rang
Aisi jagah to jaaoon mein chal kar sar se
Phalon mein AAM baadshah kehlaata hai
Saari duniya mein wo yehin se jaata hai
Haapus diya hai naam yehan ke logon ne
Chakha jis ne phir wo AAM yehi khaata hai
Waise kaaju aur kele bhi yehan ugtey hain
Har ek rang ke phal phool bhi khiltey hain
Karta hai qad ooncha is ka , ped baans ke
Jis pe chattey shahad ke bhi baney miltey hain
Ek nadi bahti kinaare se hai meethi khaari
Aur lag kar gaaon se hai ek oonchi pahaadi
Behtey hain jharney jahan baarish ke dino mein
Aur nadi mein phir hoti hai kashti ki sawaari
Chal ab naam mein bata doon is gaaon ka tujh ko
Lage hai khoobsoorat chaand ka tukda kuch ko
Koi bhi naam de do naam mein kya rakha hai
Kehtey to hain tol isey jannat sa lage hai mujh ko
No comments:
Post a Comment