Yeh wo jagah hai ke jis ne di panah sab ko
Jo bhi aaya yehan is ne liya basa sab ko
Peer-o-faqeer yehan rehtey hain ameer yehan
Koi bhooka nahin sota sab ki hai taqdeer yehan
Koi bhi farq nahin dharmo ka logon mein yehan
Gale miltey hain sabhi log, aapas mein yehan
Har ek taihwaar manaatey hain sabhi mil jul kar
Koi takleef ho madad kartey hain sabhi khul kar
Rehtey har ek rang ke log bolein sab apni zubaan
Lekin boli jaati hai anokhi si ek boli yehan
Sports club, naatak ghar film industry aur kya nahin
Bachche, Jawaan budhey sab ka ho manoranjan yehin
Yeh kar raha hoon zikr jis ka mein is bayaan mein
Hai woh bharat mein magar lage, hai aasmaan mein
Ghira huwa hai samandar se yeh teen taraf
Jaise Moti dikhaati huwi koi lagti ho sadaf *
Koi bhi mausam ho har ek ka alag hai maza
Lekin barsat mein lagti hai jannat si fiza
Waise to yeh jagah hai saarey jahaan se pyaari
Magar mujh ko yeh lagti hai meri jaan se pyaari
Har ek daur mein is ke naam badley hain kai
Jaani jaati hai jis naam se woh hai bambai
Sadaf = seepi ya English mein shell.
No comments:
Post a Comment