Saturday, June 22, 2013

KUCH AUR ASHAAR

Kisi ko gar kiya ruswa zamaane ne to kya kijay
Samajh uski nazar uski tha dast uska qalam uski



JAB WAQT AAYA KE YAADON KE SAHAREY JI LEIN
TAB HUM SE HAMAARI YAAD DAASHT CHIN GAYEE



De qalam inaam mein ke mein qalam kar loon
Un ka shikwa apni safaayee ye zamaana aur haal-e- dil.

 
 
Ummeedon ke sahaarey kut jaatey hain din
Kaisi kaisi aas lagaaye baithi hai zindagi




JAHAN REHNA HAI CHUP HUM KO WAHAN KEHTEY HI JAATEY HAIN
JAHAN KEHNA HAIN KUCH, HUM WAHAN CHUP HAIN KYON REHTE




Kahoon ga kuch to dost bura maanien gey
Karoon zikr-e-maazi ka mein bayaan kaise





Kehney sunnany ka rishta hai faqat yaaron ka.
Ajnabi logon mein kahan aisi rishtey daari hai





Har mausam le aata hai kuch saughaatein zindagi ke liye
Yeh naymatein nawaazish hamein saari khuda ne kein.



Jhoot kuch bhi nahin faqt sachchayee hai zindagi
Agar is ko samjho to kahan muamma hai zindagi



Yeh Qudrat ka khel anokha
Kaheen baarish kaheen sookha
Koi daawatein hai udaaye
Aur koi sota hai bhooka




Yeh sab hai Allah ki marzi sab hai Allah ke kaam
Har qatra har zaraah har nafs ka hai ek nizaam.


Log muntazir hain mere saath chalne ke liye
Main to khud hi bhatak gaya hoon apni raahon se.


Yehi hai reet yehan ki, zamane se chali aayee hai
Hua gunaah kisi se , aur kisi ne sazaa payee hai
































No comments:

Post a Comment